Kanz e Aza

Aye wafa ke paighambar

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ae wafa ke paighambar nafse faatahe qaibar ae Hussain ke bhai

Dekhiye zara uthkar , aah qaimae at’har , lootne ko fouj aayi

Ho’we aayae tatheer , jinke chehro ki tanweer, un se bigde yu taqdeer

Farqe paak se chaadar, cheen le layee’n badhkar, Qalq ho tamashaayi


Aapke kate shaane, koun iska gham jaane, koun hai jo pehchaane

Shaahedeen ki dikhtar, aur is qadar muztar, us pa kaisi ban aayi

Khoo’n hai kaano’n se jaari, kaise jaaye bechaari, shaam ki hai tayyari

Sailiyaa’n padhe’n rukh par, dar badar ba rehna sar, hai tumhaari shaidaai


Waasta payambar ka waasta bahattar ka , ya khuda wo din dikhla

Dekhei’n rouzae anwar, aur adaa kare qaisar , qidmate jabi’n saayi