Kanz e Aza

Az: Mirza O Kumail.

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Abbas (asws) Mar Gaya Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.


Tooti Hai Kamar Meri, Ankho'n Mein Andhera Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.

1. Baba Ne Duao'n Mein Jis Laal Ko Maanga Tha.

Amma Ne Jise Meri Nusrat Ke Liye Bheja.

Woh Qoon Mein Hai G'hlta'n, Reti Pa Tadapta Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.

2. Katwaye Hue Bazu Sota Hai Wo Darya Par.

Parde Ki Hifazat Ab Wo Kaise Kare Qwaahar.

Yeh Baat Rulaati Hai, Dil Mera Larazta Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.

3. Ek Gurza Laga Aisa Sar Par Mere Bhayi Ke.

Na Hath Salaamat the Us Dam Mere Bhayi Ke.

Sar Ke Bal Ghode Se, Wo Qaak Pe Aaya Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.

4. Paamal Hua Laasha Is Tarha Se Ghazi (asws) Ka.

Qasim (asws) Ki Tarha Maine Tukdo'n Mein Ise Paaya.

Ek Simt Mile Baazu, Ek Simt Mein Aaza Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.

5. Bhayi Ki Wasiyat Hai Hargiz Na Use Kehna.

Aaqa Mere Laashe Ko Qaime Mein Na Le Jaana.

Na Dekh Sakegi Eo, Masoom Sakina S.A. Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.


Abbas (asws) Mar Gaya Hai, Main Lut Gaya Zainab S.A.


Az: Mirza O Kumail.