Berida zainab hai bhaiyya, majma e aghiyaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
Saath mere bas akela abid e beemar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
1. Daakhila ahl e haram ka sham me jis dam huwa
Har qadam par sakhtiya thi, aur rone par jafa
Do qadam aise me chalna ab mera dushwaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
2. Haath me patthar liye the sab tamashaayi khadhe Aur humko maarte the hum rasan basta khadhe
Kya kare zainab battao bekas o laachaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
3. Koobaku humko phirakar aur kehte the shaqi
Ye hai zainab dekhlo ye hai ali ki laadli
Koi kehdo naam na le ye bhara darbaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
4. Hind aati hai sar e zindaan zainab ne suna
Bibiyon mujhko chupaalo roke zainab ne kaha
Ek chaadar bhi humaare paas na darkaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
5. Qaidkhaane me sakina rote rote margayi
Mout meri bachchi ki zakhmon ko taaza kar gayi
Misl e zehra pasliya iski bhi to mismaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
6. Noke naiza se ye aati thi sada shabbier ki
Aye behan tu laaj rakhle maadar e dilgeer ki
Tu bacha apne ali ko wo bada ghamkhwaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
7. Kya qayamat aagayi hai aal e ahmed par
Zameer
Uski parda daar qaidi jo zamaane ka ameer
Jiske parde ka muhaafiz khud alambardaar hai
Shaam ka bazaar hai aur sham ka darbaar hai
Kalaam : Janaab Mohibbe Abid Abidi Sahab (Zameer)