Rehayi Mil Gayi Ab Qaid Se Phupi Amma.
Batao Karbala Jaayein Ya Jaayein Hum Sue Bat-ha.
Haaye Sajjad (asws) Haaye Sajjad (asws)
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
Kaha Zainab S.A. Ne Rokar, Ghareeb E Nainawa Ka
Mujhe Chehlum Manana Hai.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
Hue Kya Kya Mazaalim
Safar Mein Hum Pe Beta
Mujhe Sab Kuch Sunana Hain.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
1. Badi Muddat Hui Hai Bhayi Se Mujhko Mile Beta.
Sakina S.A. Mar Gayi Dungi Mai Beti Ka Unhe Pursa.
Chine Bachi Ke Gauhar, Tamache Bhi Lage Ruq Par, Yeh Bhayya Ko Batana Hain.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
2. Hamein Be Maqna O Chadar Phiraye Darbadar Aada.
Girate the Tumhare Sar Pe Beta Aag Ka Shola.
Safar Mein Khaaye Pathar, Badan Tha Qoon Mein Tar, Yeh Ghazi (asws) Ko Sunana Hai
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
3. Mujhe Maloom Hai Phir Se Mazaalim Hum Pe Dhaayenge.
Yeh Ehle Shar Hamein Phir Qaid Karke Shaam Laayenge.
Mera Dil Kaanpta Hai
Meri Qismat Mein Beta, Sitam Yeh Phir Uthana Hai.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
4. Mere Nana Ki Ummat Ne Sitam Aisa Bhi Dhaaya Hai
Gale Mein Reesman Thi Hath Ko Rassi Se Baandha Hai.
Mere Dukhte Hai Shaane, Nishaa'n Rassi Ke Neele, Baraadar Ko Dikhana Hai.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
5. Giri Naaqe Se Jab Teri Behen Daadi Ne Behlaya.
Liye Godi Mein Bachi Ko Yeh Maa Ne Mujhse Farmaya.
Gila Hargis Na Karna, Jo Bhai Se Kiya Tha, Tujhe Waada Nibhana Hai.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
6. Ghareeb E Fatima S.A. Ki Laash Thi Besar Kayi'n Din Se.
Tadapti Rehti Thi Din Raat Yeh Qwaahar Kayi'n Din Se.
Jo Naize Par Phira Hai, Wo Sar Ab Mil Gaya Hain, Ise Tan Se Milana Hai.
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.
7. Mere Dil Ki Tamanna Dhoom Se Chehlum Ho Bhayi Ka.
Kare Maatam Bahaaye Ashk Har Zarra Khudayi Ka
Ye Nouha Asghari Ka
Fizao'n Me Rahega Ke Jab Tak Ye Zamaana Hai
Chalo Sajjad (asws) Beta Chalo Hum Karbala Jaayein.