Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
Raza Ki Laash Pe Ghurbat Yeh Padhti Hai Nauha, Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
Sitam Ke Zeher Se Sab Jism Pad Gaya Neela, Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
1. Zameen Roti Hai Qud Aasman Rota Hai.
Ghame Raza Mein Yeh Saara Jahaan Rota Hai.
Hai Ehlebait E Muhammed Saww., Mein Nauha O Girya, Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
2. Fizayein Toos Ki Ghamnaak Hogayi Logo.
Batool Sa., Zaade Pe Mushkil Yeh Aagayi Logo
Na Koi Puchne Waala Hai Is Musaafir Ka
3. Bahen Madine Se Aati Hai Bhai Se Milne.
Sada Ye Aati Hai Paiham Imaam Ke Dil Se
Koi To Jaake Behen Ko Bataade Haal Mera, Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
4. Watan Se Door Bulaakar Imaam Ko Maara.
Layee'N Ne Dhoke Se Shaahe Anaam Ko Maara.
Sadayei'N Deti'N Hai Laashe Pa Fatima Zahra Saws.
Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
5. Zamee'N Pa Lot'Ke Kehte Hain Ye Imaam Raza.
Mere Hussain Ko Zaalim Ne Gher Kar Maara.
Jaha'N Pe Teer Laga Phir Wahi Laga Naiza.
Ghareeb Mara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.
6. Kumail Saif Bhi Ghamgeen Hai Masayeb Par.
Tamam Anjuman E Asghari Hai Nauha Gar.
Rula Raha Hai Har Ek Ehl E Dil Ko Yeh Fiqra, Ghareeb Maara Gaya Be Watan Ghareebi Mein.