haaye zehra sa. yateem hogayi.
uth gaya baap ka sar se saaya.
haaye zehra yateem hogayi.
ahlebait e muhammed asws. hai girya.
haaye…….
1. ro rahe hai ali asws. aur hassnain asws.
peet ke sar yeh karte hai sab bain.
waqt kaisa yeh humpar hai aaya.
2. haaye baba ke naale hai lab par.
chal base mustafa saww. rabbe dawar.
ab masayeb sahegi yeh dukhiya.
3. aapke baad yeh zulm hoga.
lakdiya leke aayenge aada.
haaye jal jaayega ghar hamara.
4. zeher dekar payambar saww. ko maara.
shafi e roze mehshar ko maara.
dil pakadke tadapte hai moula.
5. syedul ambiya ausiya ka.
haaye haaye habeeb e quda ka.
chand logo ne laasha uthaya.
6. seenazan hai yeh asghar asws. ke naukar.
haaye maare gaye hai payambar saww.
hai sabhi ke labo’n par yeh nauha.
haaye zehra sa. yateem hogayi.
az: meer kumail ali(anjuman e asghari