Kanz e Aza

kar gaye qaza shaahe ambiya

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s). Lyrics in Roman Urdu.

kar gaye qaza shaahe ambiya ho gayi yateem aaj fatima

wa-mohammada wa-museebata hogayi yateem aaj fatima

haaye jald kya chal base rasool, roti hai batool ba-dile malool

haath malte hai shaahe laafata, hogayi yateem aaj fatima


haaye nana jaa'n ka hai lab pe bain, rote rote ghash kar gaye hussain

ahlebait me hashr hai bapa, hogayi yateem aaj fatima

quld ko gaye shaahe behrobar, tukde kyu na ho nanha sa jigar

kamsini me haaye daagh kya mila, hogayi yateem aaj fatima


qaateme baqair shaah ka hua, aur ujad gaya ghar bhara hua

hai madeene me ghul yahi bapa, hogayi yateem aaj fatima

puchta hai jo kya hai fatima, roke kehti hai puchte ho kya

hogayi yateem aaj fatima, hogayi yateem aaj fatima