Kanz e Aza

Kar Rahi Hai Lehad se

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Alamdar Hashmi. Lyrics in Roman Urdu.

zulm jab bhi tha ab bhi hai mujh par yahan

baba jaan baba jaan


kar rahi hai lehad se sakina fughan

baba jaan baba jaan


jald bhijwaiye ab alamdaar ko

badla lena hai karbal ke ghamkhwar ko

ro ke ye keh rahi hai meri dadi jaan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


ye wohi nasl hai jisne baysheer ki

khodi nanhi lehad mere dilgeer ki

ab mazaaron ko todenge zaalim yahan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


tod daali lehad tere ghamkaar ki

hujr ki bhi lehad aur ammar ki

kis khadar zulm hota hai hum par yahan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


todne rauze aaye hai aghiyaar ab

aap ki hai madad hum ko darkaar ab

aake hum ko bacha lo mere baba jaan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


zulm jo dha rahe hai ye salfi hai sab

karbala ke munafiq yazeedi hai sab

zaalimo se bacha lo hame ammu jaan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


khoon nikalta tha kaano se jab bhi mere

dard hota hai kaano mein ab bhi mere

mujh pe roti rahi khoon bhari baaliyan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


shimr ne tab bhi maare tamache mujhe

taaziyane lagaye thay durre mujhe

baaliyan khenchi kaano se khoon tha rawan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...


hashmi ne ye ro ro ke nauha kaha

padke irfan bhi nauha rone laga

rone walon ko dengi dua dadi jaan

baba jaan baba jaan

kar rahi hai lehad se...