Kanz e Aza

Kar Rahi Thi Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Fakhri Meerthi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

kar rahi thi sakina fughan

kyun nahi aaye ay baba jaan


kaan se chin gayi baaliyan

kyun nahi aaye ay baba jaan


seh ke shaam e ghariban ki uftaad ko

lab hilaye phupi ne jo fariyad ko

unke baba chale aaye imadad ko

koi sunta nahi meri rudaad ko

kar rahi hoon mai kab se fughan

kyun nahi aaye...


haye ghurbat mein saare sahare gaye

pusht par taziyane bhi maare gaye

chadrein chin gayi goshware gaye

al-madad al-madad hum pukare gaye

goonjti reh gayi siskiyan

kyun nahi aaye...


seh liya ammu jaise fidayi ka gham

asghare bezaban jaise bhai ka gham

jaan lelega daaghe judaai ka gham

aur sitam dar sitam beridayi ka gham

haye baandhi gayi reesma

kyun nahi aaye...


jin se dhaaras thi mujhko wo saare gaye

aur phupi jaan ke dono dulaare gaye

saare hamdard maqtal mein maare gaye

is aziyat se gohar utaare gaye

khoon hai kaano se ab tak rawan

kyun nahi aaye...


kya kahe hum ye kya kya jafa hogayi

jo jafa hogayi bekhata hogayi

hadh ye hai zulm ki inteha hogayi

hai aale nabi berida hogayi

durre khaata raha natawan

kyun nahi aaye...


phande rassi ke gardan mein kaste rahe

phusht par taziyane baraste rahe

dekh kar hum ko kuffaar haste rahe

aah karne ko bhi hum taraste rahe

har qadam thi nayi sakhtiyan

kyun nahi aaye...


kaunsa hai sitam jo na dhaaya gaya

hum ko kaanto pe paidal chala gaya

berida karke dar dar phiraya gaya

aur bazaar mein hum ko laaya gaya

dil se uth'ta hai gham ka dhuaan

kyun nahi aaye...


humko kitna sataya gaya be-sabab

haye darbar mein hum ko ghere thay sab

dha rahe thay sitamgaar ye bhi ghazab

kar rahe thay kaneezi mein mujhko talab

haye gham se nikalti thi jaan

kyun nahi aaye...


hum ko bazaar se bhi guzara gaya

saath bemaar e gham besahara gaya

haye be-maut yun humko maara gaya

naam lekar phupi ka pukara gaya

kya qayamat ka tha wo samaan

kyun nahi aaye...


apni aagosh mein leke baba ka sar

waqte rehlat sakina hui nauhagar

aamir o fakhri bole shahe behrobar

tha mai hamraah naize pe laqte jigar

ab na ro kar karo ye bayan

kyun nahi aaye...