Kanz e Aza

Mera Bacha Mere

A noha written by Fakhri Meerthi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

mera baccha mere maula ka azadar bane


mai hussaini hoo meri jaan azadari hai

fathe shabbir ka aelaan azadari hai

mera maslak mera eemaan azadari hai

har qadam par meri pehchaan azadari hai

nauha shabbir ka lori mein sunaya mujhko

haa meri maa ne azadar banaya mujhko


maine gehwara e asghar pe jo maangi thi muraad

mujhko baysheer ke sadqe mein mili hai aulaad

kaash ye pairawe abbas e alamdar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka...


sadqa e asghar e bayysheer hai baccha mera

fidya e hazrat e shabbir hai baccha mera

is ta'alluk se ye mazloom ka ghamkhwar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka...


zindagi wakf hai shabbir ke matam ke liye

maine aulaad ko paala hai moharram ke liye

khwaab tabeer mein dhal jaye wo kirdaar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


kaash zinda mere har khwaab ki tabeer rahe

mai rahun ya na rahun matam e shabbir rahe

khoon mera mere jazbaat ka izhaar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


marte dam tak bhi kabhi matam e sarwar na chute

haath se parcham e abbas e dilawar na chute

dil se abbas e dilawar ka wafadar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


ya ali keh ke mera laadla ghar se nikle

leke abbas ke parcham ko jidhar se nikle

har qadam manzil e dushwaar bhi hamwaar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


lab e baysheer ki khamosh takallum ki qasam

mere maalik tujhe abid ke tabassum ki qasam

godh ka paala mera qaadim e mukhtar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


merey bache pe zamane ka asar kuch bhi na ho

daar ka khauf zaban katne ka darr kuch bhi na ho

aaena daare dile meesam e tammaar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..


apne bache ke liye shrh ki wila maangti hai

aamir o fakhri har ek maa ye dua maangti hai

taaziyadar azadaar wafadaar bane

mera baccha mere maula ka...


mai jawan hota raha maa dua karti rahi

maa dua karti rahi mai jawan hota raha

mera baccha mere maula ka..