Kanz e Aza

Sakina ki Sada Thi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Fakhri Meerthi. Lyrics in Roman Urdu.

sakina ki sada thi jald aao ay mere ammu

mujhe wo chand si surat dikao ay mere ammu


bahe khoon aap ka jis par wo pani kya karungi mai

yuhin pyasi rahungi mai

chale aao ke ab pani na lao ay mere ammu

sakina ki sada thi...


ye waada hai ke jab tak hai ragon may khoon ki tughyani

na maangungi kabhi pani

na rootho ab to mujhse maan jao ay mere ammu

sakina ki sada thi...


nahi ho tum to ye zaalim mujhe aakar darate hai

tamache bhi lagate hai

tamachon se mujhe aakar bachao ay mere ammu

sakina ki sada thi...


bataun kya sitamgar ne mujhe kitna sataya hai

mera daaman jalaya hai

tadapti hoo kaleje se lagao ay mere ammu

sakina ki sada thi...


hui hai rote rote surkh aankhein dekhlo aakar

mila hai khaak ka bistar

mujhe tum aake seene par sulao ay mere ammu

sakina ki sada thi...


na aaye hazrate abbas wapas nehr se fakhri

ye kehti reh gayi bachi

kahan ho jald aao jald aao ay mere ammu

sakina ki sada thi...