Kanz e Aza

Sakina Ko Chod De

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Nadeem Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

naize pe sar hussain ka ye keh ke ro pada

zaalim meri yateem sakina ko chod de


kyun maarta hai isne bigada hai kya tera

zaalim meri yateem sakina ko chod de


pehle hi ghamzada ne sahe hai bade sitam

bichda hai kamsini mein pidar kam hai kya ye gham

behre khuda ghamon ki satayi ko na sata

zaalim meri yateem...


is ghamzada ko baap ka pursa na de layeen

deta nahi gar isko dilaasa na de layeen

lillaah iske rukh pe tamache to na laga

zaalim meri yateem...


hai dushmani layeen teri gar hussain se

tu taziyane mere kate sar pe maar le

durre na maar isko hai masoom bekhata

zaalim meri yateem...


behaal ho chuki hai ye shiddat se pyaas ki

durron ka waar sehne ki quwwat nahi bachi

eeza na de ab aur isay behre kibriya

zaalim meri yateem...


dekha hai jab se baap ka kat'ta hua gala

darr yun basa hai dil mein larazti hai ghamzada

mar jayegi sehem ke isay aur na dara

zaalim meri yateem...


naazuk hai kaan cheen na bunde yun khaynch ke

beti hai ye kareem ki de degi maang le

tadpa ke is yateem ko kya haath aayega

zaalim meri yateem...


eeza na de behen ko baradar ke saamne

kode na maar abid e laaghar ke saamne

ghairat pe ek bhai ki ye zakhm na laga

zaalim meri yateem...


ho kya bayan nadeem wo ghurbat wo bekasi

mehsoos qaid e shaam mein hota hai aaj bhi

jaise ki de raha ho tadap kar koi sada

zaalim meri yateem...