andhere bayaban mein ek yateema
chali dhoondne apne baba ko tanha
yahan se wahan roti phirti hai ran mein
wo laashon se takra ke girti hai ran mein
tadap kar sada de rahi hai ye dhukiya
andhera bahot hai kahan jaun baba
bahot darr yahan lag raha hai bachao
kahan ho mujhe paas apne bulao
padar ko ye awaaz tadpa rahi hai
kate halq se ye sada aa rahi hai
sakina sakina
sada de raha hai ye sarwar ka laasha
chali aa chali aa sakina sakina
chali aa padar ki sada ke sahare
yahan har taraf mere dushman hai saare
koi bhi tujhe na batayega rasta
chali aa chali aa...
tere paas khud chal ke aata tha baba
kaleje se tujhko lagata tha baba
magar aaj kismat ne dastoor badla
chali aa chali aa...
meri jaan bahot zulm tu seh rahi hai
tamachon ki awaaz maine suni hai
phata jaa raha hai padar ka kaleja
chali aa chali aa...
sab apni musibat bata aake mujhko
jo guzri hai dil par bata aake mujhko
tere dil ka har dard baba sunega
chali aa chali aa...
nahi koi tujh par taras khaane waala
ay meri yateema mere paas aaja
padar de de tujhko yateemi ka pursa
chali aa chali aa...
padar ko bahot iska sadma hai beti
tujhe khaak pe kal se sona hai beti
mere paas aake zara dayr soja
chali aa chali aa...
nadeem ek qayamat ka manzar tha us dam
thay halq e bureeda ke ye bain meesam
khareeb aa raha hai bichadne ka lamha
chali aa chali aa...
suno na suno na suno pyare baba
yahan hai sakina yahan hai sakina
sada jab suni gamzada ne padar ki
wo sehmi hui laash ke pas pahunchi
ajab haal dekha tha teeron pe laasha
achanak laga dil pe bacchi ke sadma
usay kuch samaj mein nahi aa raha tha
kabhi wo sarhane talak jaa rahi thi
kabhi laash ke painti aa rahi thi
idhar se udhar thokarein kha rahi thi
yateema ye keh keh ke chilla rahi thi
ye tum ho ay baba
baba baba