SAKINA SHAM KE ZINDAN MEIN RO RO KE KEHTI HAI
CHALE AAO MERE BABA YAHAN WAHSHAT SE CHAYE HAI
Nazar aata nahi zindaa’n mein har su andhera hai
Kise awaz dun baba yahan har su udasi hai
Sahe jate nahi mujh se tamache aur zalim ke
Mere ammu chale aao tumhein rab ki dohaye hai
Chuta baba ka seena jab se mai so bhi nahi paye
Nahi kuch aur jepaongi ab halat kuch aise hai
Meri halat pe koi kyun taras khata nahi baba
Huwa ahsaas ab mujh ko kise kehte yatemi hai
Mera to dam ghutta jata hai itna tang hai zindaa’n
Mujhe lagta hai ke ab akhri ye saas meri hai
Ujala aaj tak maine yahan aakar nahi dekha
Andheri raat din chaya hai yaa’n kaisi ye basti hai
Pidar ko yaad karke qaid mein dam torddi nadaa’n
Sohail ab char su zindan mein chaye khamoshi hai