SAR-E-SARWAR SE YE AAYI SADA–ZAINAB MERI ZAINAB
DAYAR-E-SHAM JAO BERIDA–ZAINAB MERI ZAINAB
Ye such hai nange sar ho aur shaano’n mein rasan bhi ho
Jise chhoda hai maqtal mein wo begor-o-kafan bhi ho
Usi mazloom ki hai ilteja, Zainab meri Zainab
Tumhara bhai gheeratdaar Abbas-e-Dilawar hai
Usi mazloom ka ghode ki gardan se bandha sar hai
Usi saber ka hai ye aasraa, Zainab meri Zainab
Nahaye khoon mein Qasim ko aur Akber ko dekhogi
Tadap jaongi har ek laash ka manzar jo dekhogi
Na mudhkar suwe maqtal dekhna, Zainab meri Zainab
Ali jaise bahaadur baap ki beti nahi roti
Masayeb hans ke sehleti hai aur himmath nahi khoti
Tumhe kehti hai duniya sabera, Zainab meri Zainab
Janaza jin ki tareeki mein baba ne uthaya tha
Usi saber ne hum ko sabr karna bhi sikhaya tha
Na karna baap se apne gila, Zainab meri Zainab
Na payengi mera pehlu to wo royegi raato mein
Meri bachchi Sakina ko dilasa dena raato mein
Yateemi ka tumhe ho aasraa, Zainab meri Zainab
Hamare baad zaalim reesman-e-zulm baandhenge
Lagakar aag qaimo mein ridaye sar se chheenenge
Sitam ki hogi tum par inteha, Zainab meri Zainab
Batau’n kya hai kitne daagh mere khalb-e-muztar mein
Mai Qasim ke hazaro’n tukde laya bhar ke chaadar mein
Na koi lab pa aaye baad-dua, Zainab meri Zainab