Kanz e Aza

Sar Nange Jab

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

sar nange jab haram gaye darbar e shaam mein

shor o fughan tha marqad e khairul anaam mein


raavi ne haal khaana e zindan hai yun likha

wehshat mein misle qabr aur aafat mein karbala

aayi jo shab aseeron pe sadma hua siwa

na farsh tha na saaya na pani tha na ghiza

shammon ki roshni na charaghon ki roshni

thi matam e hussain ke daawon ki roshni

sar nange jab haram...


bano ko sar jo dasht mein us dam nazar pada

asghar ko qaid khane mein dil dhoondne laga

daudi wo qatl gaah ki jaanib barehna paa

zainab lipat ke boli ke bhabi hua hai kya

zindan se bhi aseer kahan jaane paate hai

wo boli kya karun ali asghar bulaate hai

sar nange jab haram...


us waqt yaad aati hai asghar ki waridaat

maidan soona laashon pe laasha andheri raat

jangal mein maare darr ke wo masoom khush safa

pehlu mein mujhko dhoonta hoga uthaye haath

jaane do mujhko jaane do ab jaan jaati hai

asghar ke rone ki mujhe awaaz aati hai

sar nange jab haram...


muslim ki bewa ro ke lagi karne iltemaas

asghar to qatl gaah mein laashe pidar ke paas

bibi hamare dard o qalaq ko karo khayaal

rakhti hoon chaar daagh jigar par mai behawaas

do bete qatl gaah mein hai tan pe sar nahi

do aaye thay jo kufe mein unki khabar nahi

sar nange jab haram...


waali ki laash hyder e kufa pe bekafan

rone ko unki laash pe maa hai na hai behen

kubra pukari sab se siwa hai mera mehan

kangne ki jaa bandhi hai mere haath mein rasan

logon kaho ye zulm hua kis zamane mein

mere siwa dulhan hai qaid khane mein

sar nange jab haram...