sar peet'ti hai zainabe naashaad ya ali
kya pad gayi hai dekhiye uftaad ya ali
be jurm ran me auho mohammed hue shaheed
zainab ghareeb ho gayi barbaad ya ali
dono nawaase aapke qoo'n me naha gaye
ghar ho gaya hussain ka barbaad ya ali
hai ghair haal saaniye zahra ka dekhiye
aale rasool karti hai faryaad ya ali
do mayyate uthaate hai maidaan se hussain
aakar najaf se keejiye imdaad ya ali
zainab jigar figaar ka dil chaak chaak hai
naashaado namuraad hai barbaad ya ali