sar se mehdi ke jo baba ka utha hai saaya
yaad maula ko sakina ka tadapna aaya
kamsini mein jo yateemi ki aziyat dekhi
tha baras paanchwa jab baap ki mayyat dekhi
khoon tapakta hua jab baap ka laasha paaya
yaad maula ko...
saamara mein bhi hui karbobala jaisi hawa
be-khata maara gaya phir se ghareeb e zahra
haye baba jo labon pe dam e girya aaya
yaad maula ko...
askari ne jo aseeri mein shahadat paayi
hujjate haq ko sakina ki bahot yaad aayi
qaid se jis ka janaza bhi na koi laaya
yaad maula ko...
roye sajjad ko jab qaid e padar yaad aayi
yaad aate rahe sab shaam ke bekas qaidi
shaam waalo ne aseero pe sitam kya dhaaya
yaad maula ko...
kitne tanha rahe ghaibat mein zamane ke imam
koi pursa na dilaasa na koi mehwe kalaam
jab bhi tanhai mein dam seene mein ghut'ta paaya
yaad maula ko...
baap ke baad jo maula pe sitam hone ko thay
ghaib mein le liya allah ne mehfooz rahe
neela rukhsaar sakina ka magar yaad aaya
yaad maula ko...
kaash hojaye samar hujjat e aakhir ka zahoor
aur nazar dekhle majlis mein ke maula ke huzoor
haye nauha ye mazahir jo labon par laaya
yaad maula ko...