ye gham wo gham hai ke dono jahan rote hai
yateem aaj imam e zamaan hote hai
haye hassan askari maula
ay bine zehra askari maula
shaahe saamara askari maula
ay bine zehra askari maula
haye qayamat ki ghadi aa gayi kaisi
saaye se mehroom tere hogaye mehdi
hoke juda rota raha aap ka beta
ay mere baba askari maula
ay bine zehra...
kaisa aseeri ka sitam tumpe hua hai
tere liye ghar tera zindan bana hai
maula tera ghar mein hua dafn janaza
haye ghurbata askari maula
ay bine zehra...
saamara har saal chale aate hai zawwar
aap ka taboot uthaate hai azadaar
farshe aza bichta raha bichta rahega
lijiye pursa askari maula
ay bine zehra...
saare azadaron ke lab par ye dua hai
waasta tujhko tere bete ka diya hai
dil mein basa rauza tera mehdi ke baba
hum ko bulana askari maula
ay bine zehra...
qaidi o mazloom mere gyaarwe sarkar
dene ko pursa tumhe aaye hai azadaar
pursa qubool ho ay mere syed o sardar
hum log teri nazre karam ke hai talabgaar
gham ye tera dil mein sada zinda rahega
roti hai dunya askari maula
ay bine zehra...
jab bhi tere naam ki hoti hai ye majlis
saath mein zahra ke chali aati hai narjis
dekh zara mehve buka hai teri zauja
karti hai nauha askari maula
ay bine zehra...
parda e ghaibat mein jo beta hai tumhara
bhejein usay jald pareshan hai dunya
sunlo zara behre khuda waaris e kaaba
hai ye ilteja askari maula
ay bine zehra...
mesum o azlan pe bas itna karam ho
naam tere chaahne waalon mein raqam ho
kardo ata hum ko sila nauhe ka maula
khwaab ho poora askari maula
ay bine zehra...