Kanz e Aza

Mehdi ke Sar se

A noha for Imam Hassan Askari (a.s), written by Syeda Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

mehdi ke sar se saaya baba ka uth gaya hai

ranj o alam mein dooba narjis ka laadla hai


mehdi ke sar pe aayi dastaare askari hai

bar masnade imamat farzand aakhri hai

ya rab ho khair iski faryaad e fatema hai

mehdi ke sar se saaya…


sookhe labon se ghash mein pani talab kiya jo

honton se jaam kyunkar wapas palat diya wo

kya yaad askari ko abbas aa gaya hai

mehdi ke sar se saaya…


khaak e yateemi sar mein sin paanch saal logon

ghaibat mein jaa raha hai narjis ka laal logon

noor e imam ojhal nazron se ho raha hai

mehdi ke sar se saaya…


aayi hai fauj ghar se mehdi ko aaj lene

dar fatema ka khola phir thokare laga ke

haathon mein taygh koi sholay liye khada hai

mehdi ke sar se saaya…


kis aabru se beta mayyat utha raha hai

khud baap ka janaza mehdi padha raha hai

zehra ko yaad aayi abid ki karbala hai

mehdi ke sar se saaya…


mehdi ko koi pursa deta galay laga ke

ghaibat mein askari ki farshe aza bicha ke

abbas ko kabhi wo zainab ko dhoondta hai

mehdi ke sar se saaya…


kitna ilaahi uski ghaybat mein tool hoga

parde mein kab talak wo narjis ka phool hoga

izne zahoor ho ab dil ki yehi dua hai

mehdi ke sar se saaya…


ho bheed phir khadi wo kufa ke raaston par

pathar baras rahe ho akbar ke qaatilon par

khooli ka sar sina par is baar dekhna hai

mehdi ke sar se saaya…