Kanz e Aza

Arbaeen aur Imame

A noha for Arbayeen, written by Syeda Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

zameen e ishq pe goonji azan e arbaeen

jigar figaar hua karbala ki hook uthi

ghame hussain ne qaime laga diye dil mein

tumhari yaad mein rone ke waaste maula


libaas e sog mein ashkon ke khaafile phir se

andheri raat mein palkon pe aake utre hai

tumhare wasl ki khasrat mein jaagti aankhein

zareeh e paak ko choone ke khwaab dekhti hai


hai aarzu tere rauze pe arbaeen ke liye

mujhe naseeb se wo khaafila e ishq milay

ke sarbaan imam e zamaan ho jiske

najaf se karbobala khaar khaar chalte huwe

meri jabeen pe un raaston ki gard pade

ho jinpe mehdi e dauran ne apne paon dhare


qadam qadam wo kahin aas paas saath mere

kadodo logon mein tanha akele chalte ho

mai baar baar nigahon se poch kar aansu

har ek chehre mein mehdi ke noor ko dhoondu

har ek se poochu koi chalees baras ka jawan dekha hai

kya tumne bheed mein mera imam dekha hai


har ek lazzate dunya se bekhabar hoke

dayaar e ghair mein ho jaun be sar o saaman

taam maange bina mere haath mein deke

galay lagale koi mujhko bewatan keh ke

tumhare rauze ki jaanib payada paa mehman


udaata khaak chale khasta jaan o tan pahunche

taqaiulaat mein phailaake apne daaman ko

ameer e karbobala dekh teri chaukat pe

nazar jameine huwe ye faqeer baitha hai


tumhare dar pe ye dastak ka jo tasalsul hai

mere sawaal ki zaahir isi se shiddat hai

tere baghair zamana udaas hai saara

mai tashnalab hoo tu meri furaat hai maula


mai chahta hoo isi raahe ishq mein kho kar

kabhi talaash karun apni zaat mein khud ko

kare jo mujhse baghawat wo hurr milay mujh mein

tere huzoor mein bakshish ki aarzu le kar

aseer e nafs tere dar pe kis tarha aaye

bandha ke haath chale ya ke sar kataye


mujhe bhi zindagi ki aarzoo hai mere hussain

mai tujhpe aisa maroo ke hayaat mil jaye

khafas se nikle parinda hawa mein ud jaye

magar raza o ita'at ka jaam khaali hai


ba naame ishq zaade raah paas kuch bhi nahi

tu jaanta hai mai kitna ghareeb hoo lekin

mai jaanta hoo tu kitna kareem hai maula

bajuz tere meri jaaye panaah kuch bhi nahi

tere siwa bhari dunya mein kaun hai mera