zameen e qalb pe sheh ki aza ka mausam hai
khata e hurr pe hussaini ata ka mausam hai
mareez nafs ki khaatir dawa ka mausam hai
hussain asr se ahde wafa ka mausam hai
imam e waqt se waada hai sar kata dunga
lahoo ka aakhri khatra bhi mai baha dunga
al ajal al ajal ajal ya imame zamana
habeeb e mazahir ki tarha
na khat likh ke mujhko bulana
bujha kar diya aur na hal min
ki awaaz se aazmana
tere saamne haath baandhe
mai hurr banke tehra milunga
habeeb e mazahir ki tarha...
nigahein pareshan sadiyon se
kaabe ki jaanib lagi hai
tere paak qadmon ki aahat
zameen se abhi uth rahi hai
teri aarzoo may najaf se
mai karbobala tak chalunga
habeeb e mazahir ki tarha...
bandha mere maathe ke zakhom
pe rumaal wo fatema ka
ho ghodon ki taapon se ran may
badan kaash pamaal mera
mai sau baar bhi jee uthoo to
mai sau baar tujhpe marunga
habeeb e mazahir ki tarha...
wo zakhmi jigar jis ki baais
tu maqtal may ghutno chala tha
kayi baar khaayi thi thokar
kayi baar ran may gira tha
mai akbar ke seene ki barchi
kaleje pe maula sahunga
habeeb e mazahir ki tarha...
wo shaam e ghariban abhi bhi
mere qalb pe dhal rahi hai
wo raste kadi dhoop may jo
sakina bhi chal rahi hai
yateema ki raahon ke kaante
mai palkon se apni chununga
habeeb e mazahir ki tarha...
ghiri shaam waalon may zainab
madad ki sada de rahi hai
jhuka dunga gustaakh nazrein
jo rauze ki jaanib uthi hai
ay binte ali teri khaatir
mai abbas ban kar ladunga
habeeb e mazahir ki tarha...
pade tauq gardan may chaahe
bandhe mere pairon may bedi
sunega zamana kisi din
garajdaar lalkaar meri
mai tareek zinda ki zulmat
se mukhtar ban kar uthunga
habeeb e mazahir ki tarha...