ek abbas tere jaane se
bhai ke halq pe chala khanjar
mere sar se bhi chin gayi chadar
haye kya kya guzar gayi hum par
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
hausle dekhiye sitamgar ke
pass aane laga wo sarwar ke
has ke lehra raha tha wo khanjar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
aankh mein aansu dil tadapta raha
jab chale shaah karbala tanha
cheh mahine ki jaan ko le kar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
sehmi sehmi hai bibiyan saari
khaak par zindagi hai pyason ki
jal gaye qaime jal gaya bistar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
thokare ran mein khaate dekha hai
laashe akbar pe jaate dekha hai
dhundli dhundli thi shaah e deen ki nazar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
dhoop thi pyaas thi rukay na kahin
do ghadi chain ke milay na kahin
aise jaari tha bekason ka safar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
sard mausam phata hua kurta
bas khuda jaane gham sakina ka
zulm sehti rahi wo shaam o sehar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
tauq o zanjeer zakhm be taabeer
kaise batlaun kya aziyat thi
phir bhi chalta raha mera dilbar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
kabhi bazaar e aam se guzri
kabhi zindan e shaam se guzri
mai aseer e mehan phiri dar dar
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
kya kahun dil pe mere kya guzri
bazm e haakim mein sun rahe thay sabhi
naam tha mera ghair ke lab par
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...
sheh ki khwahar fida tadapti thi
ashk barsa ke wo ye kehti thi
kitne khanjar chale mere dil par
ek abbas tere jaane se
haye abbas haye abbas...