Kanz e Aza

Ek baar mujhe bhai to kehdo

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

abbas e alamdaar abbas e alamdaar

haye haye mere lashkar ke alamdaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


aye mere akhi mere wafadaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


poori karo ab meri tamanna bhi khudara

ye teri wafa hai mujhe moula hi pukaara

aaqa hi pukara

dil hota hai bechain aye ghamkhwaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


ye waqt chalaata hai mere qalb pe khanjar

bedast tujhe dekhu'n bhala kaise baradar

kaisa hai ye manzar

tum hi ho mere jaffar e tayyar


ek baar mujhe bhai to kehdo


mere liye baba ne tujhe maanga tha rab se

hasrat hai yahi bhai sunu'n mai tere lab se

bechain hu'n kab se

aye aarzu-e-hydere karrar


ek baar mujhe bhai to kehdo


ghurbat ki ghata chaaro taraf chhayi huwi hai

aankho'n me andhera hai kamar toot gayi hai

haalat ye meri hai

ab hogaya jeena mera dushwaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


toofan e masayeb me ghira mera safeena

yaad aata hai reh rehke bohat hamko madina

roti hai sakina

aulaad e mohammad ke madadgaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


bete ki tarha paala hai maine tujhe bhai

hai khoon ke tar aaj magar meri kamayi

sun meri duhayi

is baat ka hu'n tera talabgaar


ek baar mujhe bhai to kehdo


abbas e jari ne ye kaha shaah se rokar

khaimou'n me meri laash na lejaaye uthakar

ahsaan ho mujhpar

kehne lage rokar shah e abraar


ek baar mujhe bhai to kehdo


saqqa e haram ki hai kamaal anjuman apni

zehra ki duao'n se ye abaad rahegi

nouha wo padhegi

moula ki zubaan par thi jo guftaar


ek baar mujhe bhai to kehdo