farmate thay ye sayyede abraar
abbas alamdar
ay lashkare islam ke salaar
abbas alamdar
hai kaun tere baad nigehban haram ka
batlao to waris hai bhala kaun alam ka
uthega kahan daag o bala ranjo alam ka
hai kaun yahan mera madadgaar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
ruqsat jo hue hazrate shabbir haram se
gehre hai haram lipte hue shaahe umam se
ek bachi bhi lipti hui thi sheh ke khadam se
thay ghash mein udhar abid e bemaar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
zakhmo se badan choor hai aur haal hai muztar
kis tarha tanha mujhse uthe laasha e akbar
aao meri imdad ko ay mere biradar
tum ho pisare hyder e karraar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
le jayega kumbe ko mere shaam ka lashkar
sar nange haram jayenge darbar mein kyon kar
ek ek se faryad karegi meri khaahar
bemaar mera khaafila salaar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
rehj ayegi beyar o madadgaar sakina
kis tarha sahegi bhala aazaar sakina
ab hogi na pani ki talabgaar sakina
darya se ab aa jao wafadar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
hum ahle aza karte hai shabbir ka matam
is gham se nahi badke hume aur koi gham
bas saaya figan sar pa rahe aap ka parcham
kehlaate hai hum aap ke ghamkhaar
abbas alamdar...
farmate thay ye...
pur dil se mere door nahi aap ka rauza
rehta hai mere seene mein ek dard ka darya
daala hai isi mauj mein nowhe ka areeza
mehshar bhi hai ek adna azadaar
abbas alamdar...
farmate thay ye...