jo shaamil e bazme ghame shabbir nahi hai
haasil usay emaan ki jageer nahi hai
qurbani e shabbir hata do to ye islam
wo khwab hai jis khwab ki tabeer nahi hai
jo shaamil e bazme…
be hubbe ali sajde hai yun meri nazar mein
goya to hai quran ki tafseer nahi hai
jo shaamil e bazme…
bemaar ke paon ki taraf dekhne walon
islam ka langar hai ye zanjeer nahi hai
jo shaamil e bazme…
ay kufiyon be-parda hai ye hurmate islam
be-parda yahan zainab e dilgeer nahi hai
jo shaamil e bazme…
bano ne ye ashoor ki shab khwab mein dekha
jhoole mein mera asghare baysheer nahi hai
jo shaamil e bazme…
asghar ki shahadat ne kiya zulm ko ruswa
ab tarkashe aada mein koi teer nahi hai
jo shaamil e bazme…
jisme na rawani ho na ho shaukate alfaaz
mehshar wo tere khaak ki tehreer nahi hai
jo shaamil e bazme…