ye kaun zee waqar hai bala ka sheh sawaar hai
ye kis jari ke haath mein ali ki zulfiqar hai
ghamon ki dhoop hai magar isay ajeeb chain hai
ye bil yaqeen hussain hai nabi ka noor e ain hai
dua ko haath hai uthe labon pe hamd e kibriya
hussain keh rahe thay bas khuda tera shukriya
jo tu raazi to mai raazi
jo tu raazi to mai raazi
subhana rabbiyal aa'la
subhana rabbiyal aa'la
sajda e shukr mein rakh di tere bande ne jabeen
fajr se asr talak ghaiz mein aaya na kahin
tu ne bachpan mein khilayi thi ghiza jannat ki
aaj hai teesra faaqa to koi baat nahi
jo tu raazi to mai raazi...
yaad hai sab mujhe aejaaz jo baksha mujhko
tu ne malboos mera khuld se bheja mujhko
maine bachpan mein bahot pehne hai jannat ke libaas
kya hua ab jo kafan bhi na milega mujhko
jo tu raazi to mai raazi...
door e dandan mere nana ne tujhe nazr diya
le gayi nazr ko pehlu e shikasta zehra
surkh roo hai tere darbar mein mera baba
dil ke tukde mere bhai ne kiye tujhpe fida
aaj shabbir bhi un sab ke muqabil ho jaaye
gar mera sar teri sarkar ke qaabil ho jaaye
jo tu raazi to mai raazi...
tujhse jo waada kiya hai wo nibhayega hussain
asr dhalte hi tere qurb mein aayega hussain
shimr naize pe uthaye to uthaye mera sar
ab na sajde se kabhi sar ko uthayega hussain
jo tu raazi to mai raazi...
phir karam ki ho nazar mujhpe khuda ay baari
tere darbar mein aane ki hui tayyari
wo saga ab tere mehboob ki kat jaayega
phir bhi har zarb pe tasbeeh hi rahegi jaari
jo tu raazi to mai raazi...
qatl akbar to mera ho chuka ay rabbe ghafoor
ab agar tujhko na ho nasle imamat manzoor
qatl abid ko karun aap mai bano ke huzoor
mai khaleel aur wo zabeeh aaj se howe mashoor
haath ruk jaaye gale par to qalam haath karun
haath se zibha karun lab se munajaat karun
jo tu raazi to mai raazi...
irja'ee sun ke wahin taygh ko roka maine
mud ke dekha nahi phir qaimon ka rasta maine
ye sakina hai khadi wo hai behen teele par
tujhko dekha to kisi ko nahi dekha maine
jo tu raazi to mai raazi...
maine qurban kiye tujhpe kayi ismaeel
hai kayi hajera qaimon mein gawah hai jibraeel
haath akbar ke khule thay meri aankhein thi khuli
mai nahi roya mere sabr pe rote thay khaleel
jo tu raazi to mai raazi...
yun to dil ko ali akbar ka bahot hai sadma
par tere husne karam se wo kahan pyara tha
mera abbas mera zor e kamar tha lekin
dil ko dhaaras hai tu bekas ko na girne dega
jo tu raazi to mai raazi...
mir sajjad kahan khatm hua sheh ka kalaam
chal gayi gardane mazloom pe zaalim ki husaam
kat gayi sookhi ragein hamd magar jaari thi
sheh ka sar naize pe ye kehke chala jaanibe shaam
jo tu raazi to mai raazi...