maa ko jalte huwe qaimon mein wo tadpati hai
ek ujdi hui turbat se sada aati hai
seene lagalo lori suna do mujhko sulado maa
maa mujhe neend aati hai
shaam e ghariban mein asghar ne ran se pukara maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
raat hai pehli qabr ke andar kaise rahunga tanha
tera aanchal paas nahi hai kis se bhala khelunga
tu hai kahan par ye to bata de kyun hai andhera maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
uski kya aulaad nahi thi pani tha jis se maanga
jis se giraate hai naaqon ko teer wo mujhko maara
zulm to dekho teer wo mere qadh se bada tha maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
teri qasam maa teer galay par kha kar mai nahi tadpa
dekh ke behta khoon mere moo se baba roye mai nahi roya
lekin ay maa teer se mujhko dard hua tha maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
jalti zameen par mujhko lita kar qabr banayi meri
sabr se baba jaan ne aadhi laash chupayi meri
lekin matti daal ke moo par ro diye baba maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
bhaiya ali akbar se zyada zakhmi hai mera seena
sehm gaya dil chaunk gaya mai naiza jo mujhko maara
mai to sukoon se qabr mein apni soya hua tha maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
aakhhri kaam tu kar de ye mera qabr bana de meri
ghodon se pamaal na kar de laash chupa de meri
kaat ke sar ko le gaye zaalim reh gaya laasha maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...
naize se sajjad tadap kar maa se asghar bole
kaise utha'ti godh mein mujhko maa tu bandhe haathon se
shaam se pehle mar gaya mai bhi acha hua na maa
maa neend aati hai neend aati hai
maa mujhe neend aati hai...