ay rone walon aayengi mehshar mein fatema
bibi ka haal dekh ke royenge ambiya
poochenge haath pehlu pe kyun hai rakha hua
kyun jhuk ke chal rahi hai bhala kya maajra
awaaz aayegi ye shah e mashraqain ki
sab nazron ko jhukao ye maa hai hussain ki
mehshar mein ek hashr uthayengi fatema
ek daastan e zulm sunayengi fatema
royengi ahle gham ko rulayengi fatema
nanha sa ek laasha dikhayengi fatema
poochenge sab ye kis ka tan e paash paash hai
bibi kahengi ye ali asghar ki laash hai
phir bibi badh ke arsh ka paaya hilayengi
bete ka apne khoon bhara kurta dikhayengi
haathon pe do kate huwe shaano ko laayengi
insaaf maangne ke liye haath uthayengi
ya rab qasoor kya tha mere noor e ain ka
ummat se pooch kaata gala kyun hussain ka
hogi sada e ghaib suno fatema suno
tum khoon baha hussain ka jo chaahiye wo lo
lekin hamare saamne tum is tarha na ro
bolengi sayyeda ye guzaarish qubool ho
khul jaaye ek ek pe ghurbat hussain ki
ya rab dikha de sab ko shahadat hussain ki
sab ko dikhayi jayegi phir asr e karbala
mazloom khoon mein dooba nazar sab ko aayega
zahra kahengi dekhiye baba udhar zara
ye aap ka hussain hai faujon mein ghir chuka
ek pal nahi tha chain mere dil ke chain ko
nau laakh mil ke maar rahe thay hussain ko
seene pe kitne zakhm thay teeron ke dekhiye
leta tha saans behte thay fawware khoon ke
us par bhi ahle shaam ke hamle kahan ruke
bekas pe aisa waar kiya ek layeen ne
dandaan bhi shaheed huwe noor e ain ke
aise labon pe maara tha pathar hussain ke
zakhmon ki samt rayt uda kar koi badha
koi chala ke baazu pe khanjar guzar gaya
talwaar koi maar ke mazloom par hasa
un zaalimon mein ek bine kaahil layeen tha
usne kiya wo waar ke mazloom dhal gaya
sab phasliyon ko tod ke naizah nikal gaya
wo dard tha ke zeen pe baitha nahi gaya
usne utarna chaaha par utra nahi gaya
paaon raqaab se bhi nikaala nahi gaya
aise kisi ko ran mein giraya nahi gaya
jab hurmala ka teer laga tha jabeen par
ghode se moo ke bal gira pyasa zameen par
mazloom ke sirhane gaya shimr e bad gohar
bekas ko maarta tha wo thokar idhar udhar
laaya wo qatl gaah talak zulfein khaynch kar
zainab pe uski nazrein thi zaanu hussain par
zahra ki betiyon ke dilon ko dukhata tha
daadhi pakad ke shimr tamache lagata tha
tehra na minnton se bhi baba wo bad sifaat
ghurbat mein apne laal ka choda na maine saath
sab ko to ye pata hai ke zakhmi hai mere haath
baba khareeb aayein bataaun ek aur baat
zakhmi nahi hai haath faqat dil malool ke
khanjar chala hai baba galay par batool ke
pehli chali jo zarb to sab ambiya hate
thi doosri hi zarb hassan bhi nahi ruke
wo zarb teesri thi ali jis pe ro pade
bas baba chouthi zarb talak aap saath thay
phir uske baad mai thi mere dil ka chain tha
khanjar tha meri jholi thi mera hussain tha
sajjad hashr hoga jo royenge khud nabi
bolengi zehra khatm musibat kahan hui
looti hai sab laash ghareeb ud dayar ki
baba mere hussain ki tauheen ki gayi
angushtri pe nazrein thi ek badnaseeb ki
ungli layeen ne kaati hai baba ghareeb ki