Kanz e Aza

Sakina Phir Akeli

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

haye yateema haye sakina


nahi turbat pe koi rone waala

sakina phir akeli ho gayi hai


khilone leke aa jaate thay bacche

sunate thay usay asghar ke nauhe

behel jaata tha dil bacchon se uska

sakina phir akeli...


ye jaane kaun hai kya hai iraadein

haram mein has rahe hai kehkahon se

koi abbas se kehde khudaara

sakina phir akeli...


lehed mein keh rahi hai bacchi ro kar

ye zaalim aaye hai ab kyun lehed par

mujhe darr lag raha hai mere baba

sakina phir akeli...


suna hai raat ko roti hai dhukhiya

ye kar dete hai turbat par andhera

haram mein chod dete hai akela

sakina phir akeli...


bicha kar farsh tanha baithi hogi

bahat ashoor par wo royi hogi

mila hoga na jab baba ka pursa

sakina phir akeli...


lehed mein kehte honge ro ke asghar

mujhe chod aayein baba shaam jaa kar

behen ke saath mai apni rahunga

sakina phir akeli...


kaho sajjad shaami aurton se

na bhoole saani e zehra ke waade

dar e zindan pe hai phir se andhera

sakina phir akeli...