Kanz e Aza

Salaam Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

ay gule gulzaar ali akbaram

shaah ke dildaar ali akbaram

ya ali ali akbar ya ali ali akbar

ya ali ya ali ya ali akbar akbar akbar


yusuf e laila dilbare zehra jaane tamanna

salaam ali akbar

salaam salaam ali akbar


naujawano ke madadgaar ali akbar hai

waqt ke hyder e karraar ali akbar hai

lashkar e husn mein yusuf to faqat shaamil hai

haan magar khaafila salaar ali akbar hai

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


yun to khud husn mein naadir hai hussain ibne ali

par teri zaat pe faakhir hai hussain ibne ali

saari dunya hai hussain ibne ali ki zaair

aur tere chehre ke zaair hai hussain ibne ali

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


aap hai saaqi e kausar ki nishani akbar

aap ke honton ka pyasa hai ye pani akbar

humko majlis ke tabarruk mein shahadat de de

aap ke naam jawano ki jawani ali akbar

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


shabihe payambar akbar zibha ba maidan

shaah ka dilbar akbar zibha ba maidan


socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aayega

marne ke liye akbar maidan mein jayega

qaimon mein bapa matam ay mere jawan akbar

zibha ba maidan

shabihe payambar akbar zibha ba maidan


salaam ali akbar salaam ali akbar


jo zameen maskane shabbir ali akbar hai

aap ke naam pe tehreer ali akbar hai

humko thodi si jagah de de lehad ki khaatir

karbala aap ki jageer ali akbar hai

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


yaad ashoor ki aati hai musalle pe hamein

maqsade shaah bataati hai musalle pe hamein

jab azan sunte hai mehsoos yehi hota hai

teri awaaz bulaati hai musalle pe hamein

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


ek ek zakhm ko aankhon mein basa rakha hai

zakhmi seena tera seene se laga rakha hai

sheh ko bardaasht nahi tujhse judaai ek pal

is liye aaj bh pehlu mein sula rakha hai

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...


khat e sughra jo mila laashe ali akbar par

mir sajjad bahot roye wo padh kar sarwar

fatema sughra ki tehreer yahan khatm hui

apni shadi mein mujhe bhool na jaana akbar

ali akbar ali akbar ali akbar ali ali

yusuf e laila dilbare zehra...