Kanz e Aza

Seena e Akbar Toda

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

naiza e zulm ne kab seena e akbar toda

qalb e mehboobe elaahi dil e hyder toda

naiza e zulm ne…


kar liya nehr pe qabza tan e tanha usne

jiske baba ne akele dar e khyber toda

naiza e zulm ne…


pis gaya shimr ka dil dekh ke haale asghar

aap ne sibte nabi sheeshe se pathar toda

naiza e zulm ne…


boli laila hui sarwar ki basarat zaahir

tumne kis tarha se dam ay ali akbar toda

naiza e zulm ne…


saath ghodon se giray zainab e muztar ke pisar

ran mein dam bhai ne bhai ke barabar toda

naiza e zulm ne…


maa ka kehna tha ke kyun laal mujhe bhool gaye

baap ki godh mein dam ay ali asghar toda

naiza e zulm ne…