Sehke ranjo ghum haye chal basi binte Fatima qawhare Hussain, Chain na mila jisko jeete ji binte Fatima qawhare Hussain.
Qaid hoke bhi be dayaar thi phir bhatije ki ghum gusaar thi, Zindagi tamaam sogwar thi binte Fatima qawhare Hussain.
Belche ka vaar pusht par laga qoon jism ka sara behgaya, Kushtaye jafa haye chal basi binte Fatima qawhare Hussain.
Jab hue fida tere dono laal tab kahi hua ji tera bahaal, Nasl payemaal hogayi teri binte Fatima qawhare Hussain.
Bhai ka gala samne kata rokne pa bhi shimr na ruka, Waqte asr wo teri bebasi binte Fatima qawhare Hussain.
Majlise Hussain teri dain hai matame Hussain teri dain hai, Rahate Hasan zeenate Ali binte Fatima qawhare Hussain.