Kanz e Aza

Sha Ast Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sha ast hussain baadshah ast hussain

deen ast hussain deen panah ast hussain

sar daad na daad dast dar daste yazeed

haqqa ke binaye la ilaaha ast hussain


jab wadaye tifli ko wafa kar chuke shabbir

khanjar ke talay shukre khuda kar chuke shabbir

sar maareka e karbobala kar chuke shabbir

ummat ke liye haq se dua kar chuke shabbir

teeron ne sameinta shahe bekas ka musalla

tharrayi zameen kaamp utha arsh e moalla

sha ast hussain...


jo kaam tha bhai ka behan ne wo sambhala

jalte huwe qaime se bhatije ko nikala

dam tod gaya saamne har godh ka paala

lab par na bhar aaya dil e betaab ka naala

ay naala kuna zainabe dilgeer thi zainab

haan nasiraye maqsade shabbir thi zainab

sha ast hussain...


nagaah sawaar ek nazar saamne aaya

tharrane lagi jaane dile fatema zehra

boli ke khabardaar wahin rok le ghoda

ro ro ke abhi soye hai masoom taras kha

kehde ye ibne saad se lillaah tu jaa kar

kal din ke ujaale mein hamein lootle aakar

sha ast hussain...


jab sar mere bhai ka kata aap kahan thay

jab khatema akbar ka hua aap kahan thay

pamaal hua ibne hassan aap kahan thay

tukde hua abbas ka tan aap kahan thay

bewa hui ek shab ki dulhan aap kahan thay

aajate to is tarha na taqdeer badalti

yun pyason ke halqon pe shamsheer na chalti

sha ast hussain...


baatein jo suni beti ki as'haar pukara

zainab mai tera baap hoo pehchan khuadara

kin aankhon se dekhun mai jigar soz nazara

tu dukh sahe aur mujhko ho aaram gawara

shab bhar mai tere qaimon ka darban rahunga

ta subha isi dasht mein mehman rahunga

sha ast hussain...


chadar jo chini saaqiye kausar ko pukara

qasim ko sada di ali akbar ko pukara

har zulm mein abbas e dilawar ko pukara

jhoole mein lagi aag to asghar ko pukara

roti thi koi bibi to dete thay dilaase

chaukhat pe na masoom abhi soye hai pyase

sha ast hussain...