shaahe mardan shere yazdan
quwwate parwardigaar hai ali
kaha meesam ne daar par
haan mera pyaar hai ali
jaaneman maula ali ishqe-man raahe najaf
kyun na deewana ho wo dil hai jahan shaahe najaf
maine in aankhon se dekhi hai karam gaahe najaf
saare jahan se haseen hai najaf ki zameen
jahan rehte hai do aalam ke baadshah
yani dono jahan mein teri sarkaar hai ali
shaahe mardan...
baadshahon ka shahenshah zabardast ali
tu bulandi hai tujhe kaun kare past ali
kar diya teri mohabbat ne mujhe mast ali
dil mein dhadakta hai tu mera maula hai tu
hum malango ko tujhse ishq ho gaya
jahan bat'ti hai shaahiyan tera darbar hai ali
shaahe mardan...
lehja tera sunte hi baadal ne garaj kar kaha
naam tera aaya chali dhoop mein thandi hawa
dekh tere ishq ne deewana mujhe kar diya
koi nahi sirf ali tu hai baadshah
shaahe mardan...
saare rindon ka thikana hai tera dar hyder
wajd mein jhoomta rehta hai qalandar hyder
jab bhi lagta hai wahan naara e hyder hyder
maula jise tu mila wo wali ban gaya
dekho sehwan se aa rahi hai ye sada
hyderiyam qalandaram mera sardar hai ali
shaahe mardan...
mere murshid mere maula mere maharaj ali
sirf dil hi nahi zehno pe tera raaj ali
tujhko allah ne pehnaya hai ye taaj ali
shaahe wilayat hai tu meri chaahat hai tu
baad allah o nabi sab se tu bada
wah kya shaandaar ye teri dastaar hai ali
shaahe mardan...
teri baaton mein guzarti hai meri shaam ali
hum faqeeron ka sahara hai tera naam ali
dono aalam ki madad karna tera kaam ali
chalti hai marzi teri mere maula ali
tune jo keh diya samjho wo ho gaya
marzi e kirdigaar ka tu khareedaar hai ali
shaahe mardan...
haye ali haye ali haye ali
itni taaqat thi ke jo chaahe wo kar sakta tha
wo bina taygh bhi maidaan mein utar sakta tha
kaise talwaar chalaani hai wo sab jaanta tha
baad allah ke wo hukme nabi maanta tha
quwwate parwardigaar teri ghurbat pe nisaar
tu ne jo sabr kiya koi nahin kar sakta
tera darwaza jalaya teri zahra ko rulaya
teri gardan mein rasan thi
phir bhi tu kuch nahi bola
mere maula
tu hi tha baade nabi sab ka imam
phir bhi karta nahi tha koi salaam
tu madine mein kitna tanha tha
qabre zahra pe baitha rehta tha
haye ali haye haye ali teri tanhaai
kufe se jo karbobala tak aayi
tere har waar ka yun badla liya
tere bacchon ka gala kaat diya
tera qasim tera ghazi tera akbar
mar gaye aun o mohamed ali asghar
tera ek beta teri tarha bahot tanha tha
tha jo maidan mein seh roz ka bhooka pyasa
haye hussain haye hussain haye hussain
dekh kar jis ki taraf kehte thay laakhon aada
ghayr kar maaro isay ye hai ali ka beta
aaj rote hai isi baat pe zeeshan o raza
maula har daur mein tera hi lahoo behta raha