Kanz e Aza

Sookha Gala Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay maa ke laadle baba ke sahare

behno ke dulaare ay cheh mahine wale


teer se aise chida sookha gala asghar ka

moo khula reh gaya khoon behta raha asghar ka


teer jab khayncha to moo phayr liya rote huwe

zakhm shabbir se dekha na gaya asghar ka

teer se aise chida...


aasman kaamp gaya aur zameen rone lagi

baap ne chehre pe jab khoon mala asghar ka

teer se aise chida...


pusht ke chaalon se tarr hone lagi jalti zameen

shaah ne qabr may jab laasha rakha asghar ka

teer se aise chida...


teer ke baad lehad may usay naiza maara

qatl ek roz may do baar hua asghar ka

teer se aise chida...


saat baar aage badhay peeche hatay sheh lekin

laasha qaimon may na le jaaya gaya asghar ka

teer se aise chida...


khaycha naize se badan aur zameen par rakh kar

has ke zaalim ne gala kaat liya asghar ka

teer se aise chida...


ek khilone ki tarha khela uchaala phaynka

shaam ke bachon ko sar jab bhi mila asghar ka

teer se aise chida...


kaise zeeshan bayan koi kare pyaas uski

khushk lab hogaye jab naam liya asghar ka

teer se aise chida...