Kanz e Aza

Tum Sakina Ko Bhool

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jab rida betiyon ko pehnana

tum sakina ko bhool na jaana


jab bhi tohfe mein baaliyan laana

tum sakina ko bhool na jaana


jab moharram ki aatwi aaye

haazri karna ghar mein ghazi ki

yaad kar lena pyaas bachi ki

nazr pani pe jab bhi dilwana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


bekafan baap ki wo beti hai

khoon bahra kurta hai kafan jis ka

zaairon waasta sakina ka

karbala jaa ke jab kafan laana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


ek choti si mashk phir laa kar

tum sajana alam pe ghazi ke

door na ho chacha bhatiji se

jab bhi ghar mein saje azakhana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


chaahte ho agar rahe raazi

tum se cheh maah ka ali asghar

ay azadaron in sabeelon par

naam pyason ke jab bhi likhwana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


waqt e aakhir sakina bibi ne

bas wasiyat mein ye kaha ro kar

dekho zindan se reha ho kar

bhaiya sajjad jab watan jaana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


dekho darti hai ye andheron se

tha ye umme rubab ka nauha

shaam ki aurton karo waada

roz turbat pe ek diya laana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...


choti zehra ka waasta zeeshan

radh nahi karte shaahe karbobala

dekho irfan ka hai ye daawa

apne daaman ko jab bhi phailana

tum sakina ko bhool na jaana

jab rida betiyon ko...