Kanz e Aza

Turbat

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Armaan. Lyrics in Roman Urdu.

inna lillahi wa inna ilaihi rajeoon

sakina guzar gayi


ab tak nahi soyi hoon sulaane chale aao

turbat pe diya baba jalaane chale aao


baba mujhe matti ka makaan aisa mila hai

andhera jahan tera pata pooch raha hai

baba meri tanhaai mitaane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye

baba mera laasha bhi uthane nahi aye

choti si sakina ko manaane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


kya aap koi basti basane gaye baba

sughra se kiya waada nibhane gaye baba

itna to sakina ko bataane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


daadi ki tarha mai bhi tere saath chali hoon

baba mei tere sabr ke saaye mein pali hoon

aansu jo chupate ho dikhane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


jo teri ghareebi ka akela tha sahara

pani ke liye maine usay kho diya baba

ye daagh kaleje ka mitaane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


kuch aise jhuka bhai ke phir uth na saka hai

baqir ka gala haye kamar se jo bandha hai

bemaar se milne ke bahane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


acha mujhe seene pe sulaana nahi baba

kehti hoon jo amma ko batana nahi baba

ehsaas yateemi ka mitane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...


armaan ye turbat se sakina ki sada hai

ay baba mujhe tum ne bahot pyar kiya hai

ab phoolon ki chadar hi chadhane chale aao

ab tak nahi soyi hoon...