uthe kaise uthe kaise baali sakina ka laasha
pareshan hai zindan mein saani e zehra
musibat ki manzil ye kitni kadi hai
yateema ki mayyat zameen par padi hai
bane qabr kyun kar uthe kaise laasha
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
ye ghurbat ye tanhaai ye qaid khana
hai zanjeer mein jakda bemaar bhaiya
uthaye behan ka wo kaise janaza
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
sakina tujhe ab kahan paaun beti
akeli kahan chod kar jaaun beti
bahot tang o taareek hai qaid khana
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
kahan se kafan laa ke pehnaye zainab
bhatiji ko kis tarha dafnaye zainab
qayamat hai ek qaid khane mein barpa
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
madad karne aajao mere baradar
kahan so gaye mere abbas jaa kar
zara aake dedo janaze ko kaandha
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
hai bemaar haathon mein hatkadiyan pehne
galay mein hai tauq e garabaar uske
utaare lehad mein bhala kaun laasha
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
lehad mein to apni behan ko sula kar
kaha ro ke abid ne shaana hila kar
khudahafiz ay shaahzadi sakina
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
sakine le laashe pe zainab ye boli
watan roz jaane ko kehti thi beti
rehaai ke badle muqaddar tha marna
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...
hai zindan mein shams kaisi musibat
rasan basta hai sab uthe kaise mayyat
khuda jaane kaise hua dafn laasha
pareshan hai zindan mein saani e zehra
uthe kaise uthe kaise...