utho sakina utho jaata hai kaarwan
tere baghair jaane kaise jiyegi maa
zindan ka ye andhera hota kahan savera
pardes mein sakina ghamkhar kaun tera
zaqmi hai kaan tere cheeni hai baaliyan
utho sakina utho…
qabre batool tanha veeran hai madina
karbobala mein asghar zindan mein sakina
dil ko hila rahi hai asghar ki hichkiyan
utho sakina utho…
maa jaa rahi hai bibi veeran godh lekar
karbobala ke ban mein apna suhaag dekar
kaise madine jaa'un sab kuch to hai yahan
utho sakina utho…
sughra ka saamna mai kaise karoon batade
poochegi jab wo mujhse mai kya kahoon batade
amma meri sakina kho aayi ho kahan
utho sakina utho…
mai is ghadi se pehle ay kaash mar hi jaa'un
kis kis ko kya bata'un kis kis se moo chupa'un
poochegi mujhse aakar jab saari bibiyan
utho sakina utho…
dil gham se hai do-para hamein shamiyon ne maara
abbas bhi nahi hai jo badke de sahara
jangal mein so rahi hai saari nishaniyan
utho sakina utho…
irfan ghame sakina hai dukh bhari kahani
ye dukh bhari kahani nasir ki hai zabani
mai sochta hoon ab bhi kaise karoon bayan
utho sakina utho…