so jaate thay sukoon se bistar pe ahle shaam
ek bacchi roti rehti thi zindan ki khaak par
baba bulaane aagaye ek shab jo khwab mein
kehne lagi wo qaid mein abid se chaunk kar
isi zindan mein banana meri turbat bhaiya
ki sakina ne ye abid se wasiyat bhaiya
chaahti hoon mai jahan so'un wo mitti nam ho
tashnagi ki wo aziyat hai zara si kam ho
haddiyon tak mein hai wo pyaas ki shiddat bhaiya
ki sakina ne ye...
qaid mein baba ka sar aaya magar laash nahi
laash par ban mein mai pahunchi to sar tha aur kahin
na hui poori mulaqat ki chaahat bhaiya
ki sakina ne ye...
tum ko maloom hai wo dard ki shiddat meri
dar e zindan pe parindo ko mai jab dekhti thi
aur bad jaaati thi ghar jaane ki hasrat bhaiya
ki sakina ne ye...
tum agar paana meri baaliyan meri chadar
meri sughra ko wo de dena madine jaa kar
bhool payegi na wo meri mohabbat bhaiya
ki sakina ne ye...
jaa ke batlana mere fazl se roodad meri
choti dadi se bhi keh dena ye uftaad meri
kis tarha tu ne uthayi meri mayyat bhaiya
ki sakina ne ye...
tum se pooche meri humjoliyan jab haal mera
un se batlana ke rassi mein that jab mera gala
kis tarha jhel rahi thi mai aziyyat bhaiya
ki sakina ne ye...
jaa ke tum ahle watan se mere keh dena salaam
phir bayan karna jo toote hai sitam mujhpe tamaam
mera gham meri aseeri meri ghurbat bhaiya
ki sakina ne ye...
kehna ye meri phupi se ke wo jaldi aaye
amma fizza ko bhi wo saath mein apne laaye
karbala jaisi hi ho shaam ki surat bhaiya
ki sakina ne ye...
khoon bhare kurte mein tum dafn mujhe kar dena
haan magar shaam ke haakim se kafan mat lena
mai bhi kuch kam to nahi saahibe ghairat bhaiya
ki sakina ne ye...
kaise khologe bandhe haathon se gardan ki rasan
haye kis tarha se doge mujhe ghusl o kafan
mai bhi zakhmi hoon tumhe bhi hai naqahat bhaiya
ki sakina ne ye...
tum dua karna yehi aamir o nayyar ke liye
unko allah har ek ranj se mehfooz rakhe
shaam tak aate hai jo behre ziyarat bhaiya
ki sakina ne ye...