sakina kehti thi ro kar watan chalo amma
bahot hai dil mera muztar watan chalo amma
galay mein daal ke nani ke sab ke sab baahein
har ek shaheed ko jis tarha jis qadar chaahein
wahin pe royenge khul kar watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
batayein jhelenge aakhir ye sakthiyan kab tak
pade rahenge yuhin zer e aasman kab tak
watan se door khule sar watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
chupaye baithe hai seene mein jaane kitne gham
lipat ke royenge abid ki bediyon se hum
baraye sibte payambar watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
na jaane kaisi adawat hai hum se aada ko
tamache khaaye kiya jab bhi yaad baba ko
na ro sake kabhi khul kar watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
sina kaleje mein akbar ke dekhli hum ne
chacha guzar gaye jaan se na aah ki hum ne
hai ek bojh sa dil par watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
ye khatm honge bhala kab sitam zamane ke
hai kaat'te dar o deewar qaid khaane ke
mai mar na jaaun yahin par watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...
ab aur jhelne hai hum ko kitne aakhir gham
watan se door bayabane karbala mein hum
luta chuke hai bhara ghar watan chalo amma
sakina kehti thi ro kar...