De raha hai sada ek lasha
ya bunayya ilayya ilayya
Sooe darya nahi'n jaao beta
ya bunayya ilayya ilayya
Sakina sakina
Door darya hai laashe pade hai
Ab bhi zaalim wahaa'n par khade hai
Tum ko bhi qatl kar de na aada
ya bunayya ilayya ilayya
Tum ko hai apne ammu se ulfat
kam nahi'n karte hum bhi mohabbat
kya na maanogi baba ka kehna
ya bunayya ilayya ilayya
Us taraf dekho beta na jaao
neel gaalo'n ke humko dikhaao
keh do hum se jo hai inko shikwa
ya bunayya ilayya ilayya
Hai pade ran me talwaaro naize
Zaqm koi tumhe aa na jaaye
Dekh kar aana ban hai andhera
ya bunayya ilayya ilayya
Kya anees haale maqtal sunaaye
goonjti thi ye do hi sadaaye'n
Ya sakina sakina sakina
ya bunayya ilayya ilayya