beti ko maine apni seene pe jab sulaya
yaad aagayi sakina
mai dayr tak khud apne aansu na rok paaya
yaad agayi sakina
beti ne meri poocha kyun ro rahe ho baba
ghamgeen kiske gham mein tum ho rahe ho baba
kaampe huwe labon se maine usay bataya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
ehsaas e gham se mere dil par nahi tha qaabu
haanton se nanhe nanhe jab pochti thi aansu
beti ka pyar dekha to mera dil bhar aaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
phir usne mujhse poocha ye kaun thi sakina
baba batao uske baba ka naam kya tha
aankhon ne meri sunkar khoon e jigar bahaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
phir meri laadli ne aisa sawaal poocha
dil hil gaya sakina bibi ka haal poocha
sehra e karbala ka mujhko khayaal aaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
kab neend usko mere seene pe aa rahi thi
hamraah wo bhi mere aansu baha rahi thi
de de ke jab tasalli maine usay chupaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
jab pyar se wo mere ruksaar choomti thi
tasveer karbala ki nazron mein ghoomti thi
bachi ne dil pe aisa koh e alam giraya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
jab meri laadli ne zid mujhse barmala ki
baba mujhe sunao rudaad karbala ki
aankhon se ashk barse kuch moo se kehna paaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...
ahle aza tadap kar sun sun ke ro rahe thay
gham ka samaa bandha tha sar dhun ke ro rahe thay
akhtar ye tera nauha aamir ne jab sunaya
yaad aagayi sakina...
beti ko maine apni...