yateemon pe kabhi logon sitam dhaaya nahi karte
kabhi tareek zindan mein unhe laaya nahi karte
rida sar pe na ho aur haath baandhe ho pase gardan
kisi ko baap ke laashe pe yun laaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
lahoo kano se ho jaari lagi ho aag kurte mein
is haalat mein kisi bacchi ko tadpaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
khaaye pani ke badle jo tamache wo sakina ne
kisi pyasi ko pani yun to pilwaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
mohamed ke nawase ko kiya hai qatl sajde mein
pidar ke sar ko sang beti ke le jaaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
darakhton ke talay ghode khade ho shamiyon ke beech
safar mein kyun sakina pe layeen saaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
yateemi ki saron pe khaak ho jin ke muslamano
kabhi patthar saron pe unke barsaya nahi karte
yateemon pe kabhi...
jinhe masooma bulwaye wo aashiq shaam jaate hai
sabhi sharfe ziyarat bakhuda paaya nahi karte
yateemon pe kabhi...