Kanz e Aza

Ye Aun o Mohamed Hai

A noha for Aon o Mohd (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

zainab ke ye dilbar hai ye auno mohamed hai

ye warise jafar hai ye auno mohamed hai


maidan may bhari hai ye dono hazaro par

ye shere dilawar hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


dewaar se kufe ki takradiya faujo ko

ye saniye hyder hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


darbar may logon ko ye shimr batata tha

chote se jo do sar hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


zainab ne kaha bhaiya ye aap ka sadqa hai

ye azm ke paykar ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


hyder ki shuja-at ke waris hai zamane may

ye dono barabar hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


hai sin bhhi abhi chotay hai ghuncha dahan dono

aur azm may akbar hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….


maqtal se riyaz aayi zehra ki sada mujhko

ye khoon may jo tar hai ye auno mohamed hai

zainab ke ye….