Kanz e Aza

Ye Baade Nabi Ro

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ye baad e nabi ro ke kehti thi zehra

ke ek haath pehlu se uthta nahi hai


mere baba tum jo sidhaare jahan se

meri zindagi hai ibaarat fughan se

ye gham koi kam to nahi mera kehna

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


jinhe aap kehte thay umnat hai meri

unhone hi mujhko ghadi ye dikhayi

mere lab pe har waqt rehta hai nauha

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


bohat khoob ajre risalat hai paaya

hai ek haath masroof matam mein baba

mai kaise sambhalungi apna kaleja

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


wohi log mohsin ke qaatil hai baba

ke jin ke liye aap thay misle saaya

wohi log dete hai ab mujhko taana

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


sajega jo bazaar roz e jaza ka

khuda mujhse poochega ehwaal mera

ye hi marsiya hoga us din bhi mera

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


bulaya gaya mujhko darbar mein bhi

layeeno ne jhutlayi meri gawahi

aur ab mujhpe ye bhi sitam ek toota

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


mera dil bhi aur mera ghar bhi jalaya

mai binte payambar hoo ye bhi na socha

diya kaisa zakhm ye ummat ne baba

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


jinhone diye hai mujhe zakhm itne

yehi kal jalayenge zainab ke qaime

to zainab ko kaise mai doongi sahara

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...


kahe mujhse ay kaash zainab ki maadar

rahe shadman is jahan mein tu mazhar

ye nauha waseela banega tumhara

ke ek haath pehlu se...

ye baad e nabi ro ke...