aaj ghar ghar may matam bapa hai
qatl zainab ka baba hua hai
lab pe jibreel ke ye buka hai
qatl zainab ka baba hua hai
kaale kapdon may hai aaj ahle aza
hai labon par sada ya ali aeliya
nauha khwani kahin aur kahin marsiya
saare aalam may gham ki fiza hai
aaj ghar ghar may...
majlison aur julooson may zikr e ali
rozadaron ki aankhon may gham ki nami
boodhe bacche jawan hai sabhi matami
rozadaron ke lab par sada hai
aaj ghar ghar may...
kaale parcham uthaate huwe sar ba sar
shah-raahon pe nikle sabhi nauhagar
ek majlis se hai doosri ka safar
haan ye maahol batla raha hai
aaj ghar ghar may...
rozadaron ke kaandho pe taboot hai
sar hai khooni qaba aur rote huwe
ya ali ya ali ki jo awaaz hai
har azadar ye keh raha hai
aaj ghar ghar may...
roke kehte hai hasnain sar peet kar
aayi uneesween ki ye kaisi sahar
dekha jaata nahi baap ka zakhmi sar
qabre zehra may aah o buka hai
aaj ghar ghar may...
roz raaton ko khaana khilaata tha jo
sab yateemo ke gham ko mitaata tha jo
ab nahi aayega roz aata tha jo
ye sitam bekason par kiya hai
aaj ghar ghar may...
baap ke gham may roti hai saydaniya
khaak udaati hai kehti hai sab betiyan
zindagi bhar karenge yun aah o fughan
ye qayamat ka gham jo mila hai
aaj ghar ghar may...
farshe majlis pe mesum ye nauha karo
jo masayab hai mazhar wo likhte raho
bibi zahra ko ashkon se pursa bhi do
bas ye aaghaz e karbobala hai
aaj ghar ghar may...