zakhmi hua jo sajde may damaad e mustafa
ek hashr sa namaziyon may ho gaya bapa
ghar se chale hussain o hassan sar ko peet'te
ek tehelka sa khaana e ismat may pad gaya
zakhmi hua jo sajde...
pahunche ali ke laal jo masjid may doston
dekha ke khoon may doobe huwe hai shahe huda
zakhmi hua jo sajde...
al qissa shaahzade chale le ke baap ko
ghar ke qareeb pahunche wo maula ne ye kaha
zakhmi hua jo sajde...
ahle haram ke rone ki awaaz aayegi
ab doston ko saath se kar do al-hida
zakhmi hua jo sajde...
ghar may ali ko laaye jo zehra ke naunehal
saydaniyon ko fart e alam se ghash aagaya
zakhmi hua jo sajde...
talwaar zehr may bujhi aisi lagayi thi
jis se ali ko chain koi dam na aata tha
zakhmi hua jo sajde...
guzre isi tarha se musibat may teen roz
ekkeeswi shab aayi to mehshar hua bapa
zakhmi hua jo sajde...