Kanz e Aza

Zuban Zuban Pe Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

zuban zuban pa hai nauha ali shaheed huwe

har ek aankh hai darya ali shaheed huwe


nabi ke baad ye nafs e nabi ki ruqsat hai

hai soghwaar madina ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


lagayi sajde may zarbat jo ibne muljim ne

laraz ke reh gaya kaaba ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


ye kaisa zulm kiya tu ne zarbat e qatil

lahoo lahoo hai musalla ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


hassan hussain par toota musibaton ka pahaad

utha rahe hai janaza ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


pachade khaati hai ghar bhar may zainab o kulsoom

utha hai baap ka saaya ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


khuda ke baad sahara tha jis se wo na raha

hai gibraeel ko sadma ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


lipat ke maa se ye abbas ne kaha ro kar

ghazab hua mere baba ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


namaziyon ki hai aankhon may khoon ke aansu

udaas udaas hai sajda ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


hai aaj hoor o malak ki siyah poshakein

hai kayenaat ko sadma ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


jabeen se khoon jo tapka to ro diya ramzan

tadap ke bola ye qibla ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...


raza jo likh chuke nauha to ye qalam ne kaha

hassan ko dijiye pursa ali shaheed huwe

zuban zuban pa hai nauha...